Friday 15 November 2013

25 Auraad-0-Wazaaif Rizk mei Khair-o-Barket

Posted on 23:34:00

1 – 1 Minute ka amal: Rozana her namaz k baad 72 bar Yaa Baasitu parh ker dono haathon ko dam kar k chehre aur seene per pher ker dua Karen buhat barkat hogi inshallah

2- 2 minute ka amal: Rozana kissi bhi waqt 100 bar “Yaa Alahu Yaa Rahmaaanu Yaa Raheemu” parh k dua Karen

3- 3 minute ka amal: Rozana baad Namaz-e-Fajer 308 bar “Yaa Razzaku” parh ker dua Karen rizk mei inshallah buhat kushaadgi hogii

4- 4 minute ka amal: Rozana 4 rakat salate Chaasht zaroor parhen is ki beshumar barkaten hain

5- 5 minute ka amal: Rozana Subah k waqt Surah Yaseen parhen

6- 5 Minute ka amal: Rozana bad namaz-e-Maghrib surah Waqia parhen

7- 15 Minute ka amal: Baad Namaz-e-Isha 1414 bar “Yaa Wahaabuu” Parh ker dua Karen rozii mei behad barkat hogii inshallah beshumaar logon ko behad fayeda hua hai

8- 25 Minute ka amal: Rozana baad namaz-e-Isha 11 martaba Surah Muzammil parh ker dua Karen. Iski barket se bande ko betahaasha rizk ata hota hai

9- Har namaz k baad parhen: Yeh dua 12 bar parhen qarz se nijaat aur barkat-e-rizk k liye buhat fayedamand hai “Allahummak finii’ bihalalika an haraamika wa aghnini bifadlika amman siwak”

10- Kushaadgi rizk: Kushaadgi Rizk k liye “AllahusSamad” (Surah ikhlas ki doosri ayat) 1001 bar parhen aur parhne ki baad dua Karen barkat k saath saath ghinaaye qaibi bhi haasil hogi inshallah
11- Ayat-e-Karima: Baad namaz-e-isha Ayat-e-karima “Laa’ilaha illa anta subhanaka inni kuntu minazzalimiin” 200 bar parh ker dua Karen

12- Bismillah shareef: 786 bar “bismillahirrahmaaannirraneem” parh ker dua maangen husool-e-barkat-o-ghina k liye mujjarab hai

13- Faraakhi rizk: Faraakhi rizk k liye her namaz k baad dus dus bar Surah qadr parhen inshallah chand hi dinon mei faayeda hoga

14- Nemat mei ziyaadti: Nemat mei ziyadti k liye jo bhi nemat mile uska shuker ada Karen chahe 1 rupee hi kyun na ho foran Allah ka shuker ada Karen aur “AlhumdulillahirrabillAalamiin” kahen har waqt Allah ka shuker ada karne ki adat daalen

15- Buhat hi asaan amal: Hamesha khana khaane se pehle haath dholen aur “bismillahirrahmaaannirraneem” parh ker khana shuru Karen aur khaane k baad Allah ka shuker ada Karen rizk mei barkat hogi

16- Husool-e-ghina-o-raahat k liye: Rozana 100 bar “Laa’ilaha illallahul malikul haqqul mateen” parhne se zindagi mei logon ki mohtaji aur faqr-o-faqa se bache ga aur qaber mei is ko wehshat na hogi

17- Wazeefa: “Yaa Musabbibul Asbab” Rizk mei barkat, husool-e-rishta-o-rozgaar, Qarze se khalasi aur deegar mushkilaat se nijaat k liye buhat mujarrab hai baad namaz-e-Isha nange sar baghair chhat aasman k neeche khare ho ker k sar per chhat na ho 500 bar “Yaa Musabbibul Asbab” parh ker dua Karen. Aurten is baat ka ehtamam zaroor Karen k ghair mehram ki nazar na pare

18- Asaan Amal: Jab ghar mei daakhil hon to koi ghar mei ho ya na ho Assalam-0-alaiqum kahen phir yun kahen “Assalamo alaiqa Aiyuhannabiyuu warahmatullahi wabarkaatuhu” is k baad surah ikhlas parhen is per amal karne se behad-o-behisaab barkat hogii inshallah

19- Surah Kosar: Rozana 100 bar Sura kosar parhen inshallah rizk kaseer mile ga

20- Jumaa-tul-mubarak: Juma k din baad namaz-e-asar kissi se baat na Karen aur kibla roo bethe rahen aur sooraj ghurrob hone tak “Yaa Alahu Yaa Rahmaaanu Yaa Raheemu” parhte rahen aur jab sooraj doob jaye us waqt khoob girgiraa ker dua kar k maghrib ki namaz parhen aur rizk mei barkat hogi aur jo jayez dua Karen ge inshallah Qubool hogi

21- Zaberdust amal: Rozana 100 bar yeh kalmaat parhen “bismillahirrahmaaannirraheeme Walahaula walaqouvata illabillahil aliyil azeem” rizk mei barket ho, balaaoun se hifaazat rahe muhlik bimaariyon se mehfooz rahe shayaateen aur jinnaat waghaira se mehfooz rahe, dushman k waaron se bacha rahe aur beshumar fawaayid haasil honge

22- barkaten aur rehmaten: rozana 200 bar surah ikhlas parh ker dua Karen barkaton aur rehmaton k saath dil mei noor barhe ga

23- buhat asaan: Fajr ki 2 sunnaten ghar mei parh ker masjid jayen aur 2 farz jamaat k saath parhen baa’is-e-khair-o-barkat hai

24- Surah Kahaf: jo koi Sura Kahaf ko likh ker aisi sheeshi mei jis ka moun tang ho daal ker ghar mei rakh le aman ho aur faqar-o-qarz se chhutkara mile aur logon ki mohtaaji na ho. Neez her jumma ko surah kahaf ki tilawat karna buhat fazaail-o-barkaat ka baa’is hai

25- Surah Fatiha: jo koi rozana Sura Fatiha 41 bar parhe rozi uski faraagh ho tangdasti door ho logon ki mohtaaji na rahe aur beshumar barkaat haasil hon

No Response to "25 Auraad-0-Wazaaif Rizk mei Khair-o-Barket"

Leave A Reply